Thursday, October 23, 2014

Woh pyar ka saboot dikhaya kerta tha

Ghazal

Woh pyar ka saboot dikhaya kerta tha

Aanso baha ker hamen manaya kerta tha

Yeh zindagi sirf tum say wabasta hy

Aksar yeh bat hum ko btaya kerta tha

Uski baton men kuch aisa aser tha

Keh woh barish kay bina bhi bheeg jaya kerta tha

Sonay ke fursat kisay thi

Woh hamen sari rat jagaya kerta tha

Bechaini jab had say berh jati

Wo jee bhar k galay lagaya kerta tha

Woh itni muhabbat kernay wala badal gya

Jo her bat per meri qasam khaya kerta tha

<<<<MEHAK MUSKAN>>>>