Friday, October 31, 2014

Bikharti sham ke perchhayan mujhay day do

Ghazal

Bikharti sham ke perchhayan mujhay day do

Tum apni sham ke tanhayan mujhay day do

Men tum ko yad karun aur tum chalay aao

Tum apnay pyar ke sachayan mujhay day do

Men doob jaon tumhari udas aankhon men

Tum apnay dard ke gehrayan mujhay day do

_________MUSKAN__________

Sunday, October 26, 2014

Kabhi nah hathon say hath chotay khyal rakhna

Ghazal

Kabhi nah hathon say hath chotay khyal rakhna

Kabhi nah chahat ka maan totay khyal rakhna

Bacha k rekhna muhabbat ko rahzanon say

Wafa ki dolat jafa na lootay khyal rekhna

Jo ho muhabbat to ranjishon say guraiz kerna

Kisi ka nazuk sa dil nah totay khyal rekhna

^^^^^^MUSKAN^^^^^^^

Tum khafa kyun ho, Tumhen mujh say gila kia hy

Ghazal

Tum khafa kyun ho, 

Tumhen mujh say gila kia hy?

Achanak by-rukhi itni

Btao to hua kia hy?

Mnaon kis tarah tumko?

Mujhay itna to btla do

Ager ab ho skay tum say

To yeh ahsan ferma do

Meri manzil muhabbat hy

Mujhay manzil py pohncha do!

``````MuskaN```````

Aisa nahi k tujh say muhabbat nahi hamen

Ghazal

Aisa nahi k tujh say muhabbat nahi hamen

Ghum rozz roz sehnay ke adat nahi hamen

Her bar teray samnay sar ko jhuka lia

Or phir bhi dekh tujh say shikayat nahi humen

Tujh per aitbar ker k tujhay chahtay hen hum

Teray siwa kisi ke bhi chahat nahi humen

Hum jantay hen k tu bhi hy tanha meray bin

Oron say pochnay ke zrurat naih humen

Tu qatal bhi kray ga to aayen gy teray pas

Dekh teray baghair rehnay ke adat nahi hamen

~~~~~~MUSKAN~~~~~~~

Teri aaghosh men sir rakh k jo so jaon kabhi

Ghazal

Teri aaghosh men sir rakh k jo so jaon kabhi

Kachi neendon men mujhay chhu k uthana na kabhi

Khawab men houlay say muskura k jo kerwat badlun

Apnay khwabon k jadu say jagana nah kabhi

Teray dil men jo kisi aur ke chahat ubhray

Bhool ker bhi mujh yeh bat btana nah kabhi

Yeh nahi kehtay k her lamhay mujhay yad rakho

Per hamesha k liye mujh ko bhulana nah kabhi

[[[[[[[MUSKAN]]]]]]]]]

Kahan dhondon aisa humsafer jo mujhay apna bna sakay

Ghazal

Kahan dhondon aisa humsafer 

Jo mujhay apna bna sakay

Men kahun k rat ho gyi

Aur woh chandni luta sakay

Meray aansuon ko woh samait ly

Keh koi nah mujhay rula sakay

Meri rah men hon jo mushkalen

Apni palkon say woh hta sakay

Mujhay rakh lay apnay hisar men

Keh mujhay koi bhi nah chura sakay

Woh ho meray itna qareeb ter 

Keh Kisi ke yad bhi nah mujhay aa sky

-------MUSKAN--------


Her sans k sath mujhay socha kray ga woh

Ghazal

Her sans k sath mujhay socha kray ga woh

Apnay he aks men mujhay dhonda kray ga woh

Jab yaad aye ge wafa meri 

Phir her shakhs ko chahat say dekha kray ga woh

Aaj meri tanhai per hans raha hy jo

Mujh say bichar ker isi bat per roya kray ga woh

Phir kesay meri yad say daman churaye ga

Jab meri tarah kisi ko chaha kray ga woh

Merya hotay huye mera nam bholnay wala

Meray bad her kisi ko meray nam say pukara kray ga woh

|||||||||||||||||MUSKAN|||||||||||||||||||