Thursday, October 23, 2014

Tum kyun bnay thay dil ka sahara jawab do

Ghazal

Tum kyun bnay thay dil ka sahara jawab do

Ab kahan hy woh pyar tumhara jwab do

Kis ko tha naz apni adaon pay her ghari

Kis nay kia wafa say kinara jawab do

Hum to seh nah saken gay judai ka ghum

Yeh qoul tha mera ya tumhara? jawab do

Ik taraf zindagi ik taraf mot hy

Ab kis taraf karo gay ishara? jawab do

"MUSKAN"