Sunday, October 26, 2014

Kahan dhondon aisa humsafer jo mujhay apna bna sakay

Ghazal

Kahan dhondon aisa humsafer 

Jo mujhay apna bna sakay

Men kahun k rat ho gyi

Aur woh chandni luta sakay

Meray aansuon ko woh samait ly

Keh koi nah mujhay rula sakay

Meri rah men hon jo mushkalen

Apni palkon say woh hta sakay

Mujhay rakh lay apnay hisar men

Keh mujhay koi bhi nah chura sakay

Woh ho meray itna qareeb ter 

Keh Kisi ke yad bhi nah mujhay aa sky

-------MUSKAN--------