Sunday, October 26, 2014

Aankh say lahu nah bahaya ker ay dil usay kabhi to bhol jaya ker

Ghazal

Aankh say lahu nah bahaya ker 

Ay dil usay kabhi to bhol jaya ker

Dekhna woh ik din tujhay chhor jaye ga

Nah tu usay itna staya ker

Itna aitbar bhi acha nahi hota 

Usay her ik bat nah btaya ker

Shidat-e-gham say seena phat jaye ga

Aankh say kuch aansu bahaya ker

Uss jesa tujhay kahin mil nahi sakta

Hazar bar rothay Hazar bar manaya ker

Yahan mudatt bad koi sukh milta hy

Hath i khushi youn nah ganvaya ker

!!!!!!!!!!MUSKAN!!!!!!!!!!